Ahmad Nadeem Qasmi passed away yesterday (July 10, 2006). May God keep his soul in peace.
Maroon to main kisi chehray main rang bhar jaa’oon
Nadeem kaash yahi ik kaam kar jaa’oon
*********
Ab tak to noor-o-nikhat-o-rang-o-sadaa kahoon
Main tujh ko chhoo sakoon to Khuda jaanay kia kahoon
Lafzon say un ko peyaar hay, mafhoom say mujhay
Woh gul kahain jisay main teraa naqsh-e-paa kahoon
Tu chal diya to kitnay haqaa’eq badal ga’ay
Najm-e-seher to marqad-e-shab ka diya kahoon
Kiya jaanay kis safar peh ravaan hoon azal say main
Har intahaa ko ik na’ee ibtadaa kahoon
*********
Shaam ko subh-e-chaman yaad aa’ee
Kis ki khushboo-e-badan yaad aa’ee
Jab khiyaalon main koi morr aaya
Tairay gaisu ki shikan yaad aa’ee
********
Mujh ko qatil kay iradon pay bhi pyar ata hay
Teri ulfat nay muhabbat meri aadat kar di
********
Main nadeem qarya-e-seem-o-zar say bhi sar kasheeda guzar gia
Jo meri anaa ka gharoor hai meri umer bhar ki kamai hai

No comments:
Post a Comment